Book Title: Indian Antiquary Vol 40
Author(s): Richard Carnac Temple, Devadatta Ramkrishna Bhandarkar
Publisher: Swati Publications

Previous | Next

Page 124
________________ 116 THE INDIAN ANTIQUARY Khâte the khorâken aur hâthi se pâthe ; Sunte hi yah hukm un ke chutar phâte. Kushtiyân bhi larte au khelte the bhi akhire. Un logon kt thotiyôn men to ho gaye jhâre. 40 Sahab ne kahâ:-"Le chalo Chhawani Mathura ko, bhai." Ghabrain bain dil un ke aur phir ho jawain thekane. Lashkar men ukhare tanbu aur kanâtain; Phir bahut se sipâhiyon ki lagt chhipne ki ghâtain. Sahab ne kaha :-"Ab to subah künch ki thahari." 45 Phir rone lagin sipâhiyon ki larki au mebri:--- "Ab ki to mere chundari ki ayas goiyân. Jaldi se kab laut ghar awainge saniyân ?" Ab din rât chall phauj kahin thaharane na pât. Jake Mott Jhil par jat hâlt karâye. 50 Raja ne jo charhke qila apne se dekhâ; "Yah kaisi pari phauj? Kuchh bhir kâ na lekha. Main jantâ hun, hây, Firang! charh âye." Raja ne sab apne golandâz bulâe :"Kya dekhto ho mâr chalo." 55 Is phauj Firangi par parain panchsau gole; "Mat ghat gal sahab ki jo kari ham pai charbâî. Aqal uth gaya Hindostân se, kuchh nesti âî. Jab topain nawâsi ki pakar charkhi marorôn; Phir gore Firangi ko kahin ek na chhorôň. 60 Golon ke chalne se jo ek bârgi bhuchal machaigâ; Phir gora Firangi koi sâbit na bachaigâ. Goli ke danâdan se jab main mâr karungâ; Kalkatta tak mâr dhûân dhâr karunga. Sahab se kaho, hat parai, Kalkatta ko jawai. 65 Agar barson larâî tau bhi qila hath na âwai. Sahab se kaho hatkê kar le kûnch sabera. Is men bhi kuchh khair hai? kya maut ne ghera." Sabab ne kaha "Hamâre kampa men hain barrai ke chhate; Ham marke kar dewaingê do gharf men latte." 70 Tab chalne laga donoň taraf golê pai golâ, Tab jake Jawahir jo wahin jhatpat bolâ :"Gham khao zarâ is men: bigaṛtâ nabin apnâ. Is rât men diyâ mujhe Baldeoni sapnâ ;" Raja ne kabahat, be Jawahir, mal bharne; 75 Baldeon! nahin liye phêtê meň, bharnê. Mar jay, Jawahir mal, yah terá saka. Ap Firangi mên mila, mujhe bâton men râkhâ. Sab bâti ka tu bhediyê, karai hâm se chori." Darwazah ko jo tôp thin, wah chauk ko pherîn. 80 Itne men phir chalne lagà topoň se golâ ; Phir qila Bharatpur ka yon pât sâ dola. Thandha huâ golâ na kuchh harkat lâya. Raja bhi hansi khub aur fauj hansiya. Raja ne kaha: "bât sunô, fauj sipâhî. [APRIL, 1911.

Loading...

Page Navigation
1 ... 122 123 124 125 126 127 128 129 130 131 132 133 134 135 136 137 138 139 140 141 142 143 144 145 146 147 148 149 150 151 152 153 154 155 156 157 158 159 160 161 162 163 164 165 166 167 168 169 170 171 172 173 174 175 176 177 178 179 180 181 182 183 184 185 186 187 188 189 190 191 192 193 194 195 196 197 198 199 200 201 202 203 204 205 206 207 208 209 210 211 212 213 214 215 216 217 218 219 220 221 222 223 224 225 226 227 228 229 230 231 232 233 234 235 236 237 238 239 240 241 242 243 244 245 246 247 248 249 250 251 252 253 254 255 256 257 258 259 260 261 262 263 264 265 266 267 268 269 270 271 272 273 274 275 276 277 278 279 280 281 282 283 284 285 286 287 288 289 290 291 292 293 294 295 296 297 298 299 300 301 302 303 304 305 306 307 308 309 310 311 312 313 314 315 316 317 318 319 320 321 322 323 324 325 326 327 328 329 330 331 332 333 334 335 336 337 338 339 340 341 342 343 344 345 346 347 348 349 350 351 352 353 354 355 356 357 358 359 360 361 362 363 364 365 366 367 368 369 370 371 372 373 374 375 376 377 378 379 380 381 382 383 384 385 386 387 388