Book Title: Digambar Nitya Pooja Patha Samgraha
Author(s): Adinath Jinalaya JCA New York USA
Publisher: Adinath Jinalaya JCA New York USA

Previous | Next

Page 10
________________ BAHUBALI BHAGWAN KA MASTAKA-ABHISHEK NIRKHO ANG ANG JIN-VAR KE Nir-kho ang-ang jin-var ke, jin se jhalke shanti apaar. Nir-kho ang-ang jin-var ke, jin se jhalke shanti apaar. ||1|| Bahubali bhagawan ka mastaka-abhishek, Bahubali bhagawan ka mastaka-abhishek. Dhanya Dhanya ve log yahan jo aaj rahe si tek, mastaka-abhishek, mastaka-abhishek. ||1|| Charan-kamal jin ke kahein 'ghooma sab sansaar, Par kshan-bhangur jagat mein nij aatma tatva hi saar.' Yatein padmaasan viraje jin-var, jhalke shanti apaar. Nirkho... |2|| Hast yugal jin ke kahein 'Par ka karta hoy, Aisi mithya buddhi se hi bhraman chaturgati hoy. Yatein padmaasan viraje jinvar, jhalke shanti apaar. Nirkho... ||311 Lochan-dvay jin ke kahein 'dekha sab sansaar, Par dukh-may gati chatur mein dhruv aatm tatva hi saar.' Yatein nasha drishti viraje jinvar, jhalke shanti apaar. Nirkho... 411 Antar-mukh mudra aho aatm tatva darshaay, Jin darshan kar nij darshan paa, dhani guru vachan suhaay, Yaatein antar-drishti viraje jin-var, jhalke shanti apaar. Nirkho... |15|| Beetevwarsh sahsra murti ko, kab ki gadhhi hui, Khade tapasvee ka prateek ban ye kab se khadi hui. Shree chamundrai ki mata, isska shrey unhi ko jata, Unke liye ghadi pratima se labhanvit pratyek, Dhanya dhanya.... |2|| Rishabhdev pit maat sunanda, bhrata bharat samaan, Ghutti mein Shree bahubaki ko, mila dharma ka gyan. Chakravarti ka sheesh jhuka kar, prabhuta chhodi prabhuta pakar, Vijay garva se pah-le prabhu ne dhara digambhar vesh. Dhanya dhanya... |13||| Parvat par nar-naar chale, Kalshon me neer bhare, Ho-d lagi abhishek, prabhu ka pehle kaun kare, Neer ksheer ki bahti dhara, fir bhi na bhiga tan sara, Aisee anya vishal murti ka kahin nahi ullekh. Dhanya dhanya.... |14|| Aisa dhyan lagaaya prabhu ko raha nahi yeh bhi dhyan, Kis kis ne char-nar-vind mein bana liya hai sthan, Baat unhein yeh bhi na pata thi, tan lip-tee madhvi lata thi, Ye lakhon mein ek nahi duniya bhar me ek. Dhanya dhanya.... 1511 Mahak rahe chandan keshar pushpo ki jhadi lagi, Dekhan ko yah drashya bheed yahan kitni badi lagi, Aisi chhata lage mann bhavan, falgun ban barse jyu sawan, Aaj yaha ve jude jinho ne jode punya anek. Dhanya dhanya.... |16|| SHREE PARSHVANATH STUTI Tum se lagi lagan, le lo apni sharan. Paras pyara, meto meto ji sankat hamara. Nish-din tumko japoon, par se neha tajun. Jeevan sara, tere char-no mey bee-tey hamara. Tum se..... 111 Ashva-sen ke raj dula-rey, Vama-devi ke sut pran pya-rey, Sab se neha toda, jag se muh ko moda, Sanyam dhara, meto meto ji sankat hamara. Tum se..... 1211 14

Loading...

Page Navigation
1 ... 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48