Book Title: Digambar Nitya Pooja Patha Samgraha
Author(s): Adinath Jinalaya JCA New York USA
Publisher: Adinath Jinalaya JCA New York USA

Previous | Next

Page 38
________________ Mantra-heen dhan-heen hu, kriya heen jin-dev, kshama karo rakho mujhe, dehu charan ki sev. Aaye jo jo dev-gan, pujey bhakti praman, Te sab ja-vahu kripa-kari apney apney than. Shree Jin-var ki asika, lije sheesh chadhay, Bhav-bhav ke paatak katey, dukh door ho jaay. Sampujako ko prati-palako ko, yatin ko yati-naayako ko. Raja praja rashtra svadesh ko ley, keeje sukhi hey jin! Shanti ko dey. Ho-vey sari praja ko sukh, bal-yut ho dharm-dhari na-resha. Ho-vey varsha samay pe til-bhar na rahey vya-dhi-yo ka an-desha. Ho-vey chori na jari su-samay var-tey ho na dush-kaal maari. Sarey hi desh dharey jin-var varsh-ko jo sada sokhya kari. Ghati karma jin nash kari, payo keval raj. Shanti karo sab jagat mey, vrish-bha-dik jin-raj. Shanti karo sab jagat mey, vrish-bha-dik jin-raj. Shanti karo sab jagat mey, vrish-bha-dik jin-raj. Shas-tro ka ho pathan sukh-da labh sat-san-gati ka. Sad-vrato ka sujas kah-ke dosh dha-ku sabhi ka. Bolu pya-rey vachan hit ke aapka roop dhya-u, Tou lo se-u charan jin-ke moksh jo lo na pa-u. JIN STUTI Tav pad mere hiy mey, mam hiy tere puneet char-no mey. Tab lo leen rahu prabhu, jab lo paya na mukti pad mey-ne. Akshar pad matra se, dushit jo kuch kaha gaya mujh se. Kshama karo prabhu so sab, karuna kari puni chhudahu bhav dukh se. Hey jag-bandhu jinesh-var, pa-u tav Charan Sharan bali-hari. Maran sa-madhi su durlabh, karmo ka kshay su-bodh sukh-kari. Mey tum charan kamal gun gaay, bahu-vidhi bhakti karu man-laay. Janm janm prabhu pa-u tohi, yah seva-fal dee-jey mohi. ||1|| Kripa tihari ey-si hoy, ja-man maran mita-vey moy. Baar-baar mey viniti karu, tum seya bhav-sagar taru. ||2|| Naam let sab dukh mit jaay, tum darshan dekhe prabhu aay. Tum ho prabhu devan ke dev, mey to karu cha-ran tav sev. 1311 Jin Pooja te sab sukh hoy, jin Pooja sam avar na koy. Jin Pooja te swarg viman, anu-kram te paa-ve nir-van. 4 Mey aa-yo Poojan ke kaaj, mero janam sufal bhayo aaj. Pooja kar-key nava-u sheesh, mam ap-radh kshamahu jagadeesh. 15 Sukh dena dukh met-na, yahi tumhari baan. Mo gareeb ki veen-ti, sun lee-jo Bhagwan. Poojan kar-tey dev ka, aadi-madhya av-saan. Svar-gani ke sukh bhog-kar, pavey moksh nidhaan. Jey-si mahima tum vishey, or dharey nahi koy. Jo suraj mey jyoti hey, nahi tara-gan soy. Nath tiharey naam tey, agh chhin-mahi palaay. Jyo dinkar prakash te, andh-kar vin-shaay. Bahut pra-shansa kya karu, mey prabhu bahut a-gyan. Puja vidhi janu nahi, sharan rakho Bhagwan. VISARJAN PAATH Bin janey va jaan ke, rahi toot jo koy, Tum prasad te param-guru, so sab puran hoy. Pujan vidhi janu nahi, nahi janu ahvaan, Aur visarjan hu nahi, kshama karo Bhagwan. 71

Loading...

Page Navigation
1 ... 36 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48