Book Title: Digambar Nitya Pooja Patha Samgraha
Author(s): Adinath Jinalaya JCA New York USA
Publisher: Adinath Jinalaya JCA New York USA

Previous | Next

Page 39
________________ PANCH PARMESHTHI AARATEE Ih vidhi mangal Aaratee keeje, panch param pad bhaj sukh leeje, Pahli Aaratee Shree Jin raja, bhav-dadhi paar utar jihaja. Ih vidhi.. ||1|| Doosari Aaratee sid-dhan keri, sumran karat mite bhav pheri. Ih vidhi..... ||2||| Teesri Aaratee soori- mun-inda, janm maran dukh door karinda. Ih vidhi..... ||3|| Chouthi Aaratee Shree Uva-jha-ya, darshan dekh-at paap palaya. Ih vidhi..... 4 Paanch-vi Aaratee Sadhu tihari, kumati vina-shan shiv-adhi-kaari. Ih vidhi..... ||5|| Chat-ti gyarah pratima dhari, shra-vak vando anand kari. Ih vidhi..... ||6|| Saat-vi Aaratee Shree Jin vani, dhyan-at swarg mukti sukh daani. Ih vidhi..... ||7|| Aath-vi Aaratee Bahu-bali Swami, kari tapas-ya bhaye Moksh-gami. Ih vidhi.... |8|| Pooja (San-dhya) kar ke Aaratee keeje, apno janam safal kar leeje. Ih vidhi.... |19|| Jo yah Aaratee padhey padhavey, so nar naari amar-pad paa-vey. Ih vidhi..... ||10|| Soney ka deep, kapoor ki vati, jag mag jyoti jaley din raati. Ih vidhi..... ||11|| 72 SHREE ADINATH BHAGWAN AARATEE Jag Mag Jag Mag Karey Aaratee Adinath Bhagwan ki, Dharm chakra key aadya-pravartak, teerthankar gun khan ji. 'Avadh-puri' mey jan-mey swami Nabhi-rai ke pyarey they, Maru mata bali-hari hui, tum tri-bhu-van ke ujiaarey they. Bharat Bahu-bali Brahmi Sun-dari yut shat santati paai thi, Raj tilak jab hua aap ka, karm-bhumi har-shaai thi. Inhi se adim dev kahaaye, Rishabh dev Bhagwan ji, Dharm chakra ke aadya-pravartak, teerthankar gun khan ji. Jag mag..... ||1|| *Asi-Masi-Krishi' ki shik-sha de, jan-gan ka kasht mita-ya tha. 'Vidya Shilp Vanij' sikh-la kar dharm marg dikh-laya tha. Bhaarat desh ke janak 'Bharat ji' ab bhi maaney ja-tey hey, Lipi 'brahmi' va ank 'sun-dari' ab bhi janey ja-tey hey. Gom-tesh Bahu-bali jagat ke, acha-raj hey mahan ji, Dharm chakra key aadya-pravartak, teerthankar gun khan ji. Jag mag..... ||2|| J.C.A. ke jan-gan-man ka sar-thak hua uparjit dravya, U.S.A.- New York - Queens ke kshetra mey jan-ma mandir bhav-ya. Sahas doos-rey paanch key san mey pan-drah June ka kaal pavi-tra, Bhavo ki mangal-may pari-nati hu-ye digam-bar bimb pra-tisht. Adhi-naayak prabhu ki Aaratee se dhan-ya huye mann pran ji, Dharm chakra key aadya-pravartak, teerthankar gun khan ji. Jag mag.... ||3|| Dhanya nagar yah dhanya dagar yah, amar hua Am-reeka desh, Satya ahinsak dharm sharan ka, failaa fir shashvat sandesh. Shanti ka chir marg sujhaney, ken-dra bana abhi-ram ji, Dharshan pujan Aaratee ke fal, karey abhay nish-kaam ji. Jag Mag Jag Mag karey Aaratee Adinath Bhagwan ki, Dharm-chakra key aadya pravartak, teerthankar gun khan ji. 73

Loading...

Page Navigation
1 ... 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48