________________
SHANTI PAATTH VISARJAN
Bin jaane vaa jaan ke rahi toot jo koy, Tum prasaad te param guru so sab puran hoy.
Pujan vidhi jaanu nahi nahi jaanu ahavaan, Aur Visarjan hoo nahin shamaa karo Bhagwan.
Mantra heen dhan heen hun kriya heen jinadev, Shamaa karo raakho mujhe dehucharan ki sev.
Aaya jo jo devgan puje bhakti pramaan, So sab jaao kripa kari apne apne sthaan.
Me tum charankamalgungaaoon bavidhi bhakthi karun maan laaye Janam janam prabhu paaoo tho yeh sevaphal dhijiye mohe
Krapa thihari esi hoye jaman maran mitave moye Barbar main binthi karun tumse yeh bhav sagar tharu
Naam leth sub dhuk mitjaye tum darshan dekho prabhu aaye Tum ho prabhu devan ke dev me tho karun charan ki sev
Jin puja the sub sukh hoye jin puja sam amar naa koye Jin puja the swarg viman anukram the pave nirvana
Me aayo pujan ke kaaj mero janam safal bhayo aaj Puja karke navaaoo shish mujhe aparaaj chamayu jagdish
Sukh dena dukh metna yehi tumhari baan Mohe garreb ki binti sunli jo bhagvaan
Darshan karke dev ke aaj madhye avisaan Surgan ke sukh bhog ke pave Moksha vidhan
Jaysi mahima tum vishe aur dhare nahin koye Jo suraj mein joth he nahin tharagan soye
Nath thihare naam se archin mahi palaya Jo dinkar parkashthe andhkar binsaaye
Bohut prasansaa kya karun mainprabhu bohuth agyaan Puja Vidhi Jaano Nahi Sharan Lakh Bhagwaan.
Page 28 of 49