Book Title: Tin Ardhamagadhi Shabdo ki Katha
Author(s): H C Bhayani
Publisher: Z_Hajarimalmuni_Smruti_Granth_012040.pdf
Catalog link: https://jainqq.org/explore/211121/1

JAIN EDUCATION INTERNATIONAL FOR PRIVATE AND PERSONAL USE ONLY
Page #1 -------------------------------------------------------------------------- ________________ DA. harivallabha cunnIlAla bhAyANI ema0 e0, pI-eca0 DI0, prAdhyApaka bhAratIya vidyAbhavana, bambaI tIna ardhamAgadhI zabdoM kI kathA jainadharma aura darzana ke mUla-srota hone ke kAraNa to jaina Agama-graMtha amUlya haiM hI. isake atirikta kevala aitihAsika dRSTi se bhI Agamagata sAmagrI kA aneka vidha mahattva sarva-vidita hai. bhAratIya AryabhASAoM ke krama-vikAsa ke adhyayana ke lie Agamika bhASA eka ratna-bhaNDAra sI hai. isa dRSTi se ardhamAgadhI ko lekara bahuta-se vidvAnoM ne vivaraNAtmaka, tulanAtmaka aura aisihAsika anusandhAna kiyA hai. magara bahuta kucha kArya aba bhI anusaMdhAyakoM kI pratIkSA kara rahA hai. vizeSa karake aneka Agamika zabdoM ke sUkSma artha-leza ke viSaya meM aura unake arvAcIna hindI, gujarAtI Adi bhASAoM ke zabdoM se saMbandha ke viSaya meM gaveSaNA ke lie vistRta avakAza hai. isa viSaya kA mahattva jitanA arvAcIna bhASAoM ke itihAsa kI dRSTi se hai utanA hI ardhamAgadhI ko rasika aura paricita banAne kI dRSTi se bhI hai. yahA~ para tIna ardhamAgadhI zabdoM kI isa taura para carcA karane kA irAdA hai. ye zabda haiM--piTuMDI--'ATe kI loI, uttuppiya-'cupaDA huA, 'cikanA' aura payaNa --'kaDAhI. 1 piThThaDI 'nAyAdhammakahA aGga ke tIsare adhyayana 'aNDaka' meM moranI ke aMDoM ke varNana meM aMDoM ko puSTa, niSpanna, vraNarahita, akSata aura 'piThThaDIpaMDura' kahA gayA hai. isa vizeSaNa meM 'piTuMDI' kA artha abhayadevasUri ne isa prakAra kiyA hai'piSTasya-zAlilohasya-uMDI piNDI' phalasvarUpa ukta vizeSaNa kA artha hogA 'cAvala ke ATe ke piNDa jaisA zveta'. 'piTuMDI' zabda piTTha+ uMDI se banA hai. 'piTTha' =saM0 piSTa'. 'piSTa' kA mUla artha hai 'pIsA huA,' bAda meM usakA artha huA 'cUrNa' aura phira 'anna kA cUrNa'. marAThI 'pITha' (ATA), hindI 'pIThI', gujarAtI pIThI' Adi kA sambandha isa 'piSTa'-'piTTha' ke sAtha hai. 'nAja ke cUrNa' isa artha vAle 'ATA' 'loTa' (gujarAtI) aura 'pITha' ina tInoM zabdoM kA mUla artha kevala 'cUrNa' thA. inake prAkRta rUpa the-'aTTa', 'loTTa' aura 'piTTha'. zeSa 'uMDI' kA artha hai 'piNDikA' yA 'choTA piNDa'. jaise yahA~ para 'piTTeDa' meM 'uDa' kA prayoga 'piTTha' ke sAtha huA hai vaise oghaniyuktibhASya meM 'uMDa' kA vistArita rUpa 'uMDaga' 'maMsa' ke sAtha (maMsauMDaga) aura vipAkazrata meM hiyaya' (hRdaya) ke sAtha 'hiyayauMDaya' huA hai. piNDaniyukti meM 'masuMDaga' rUpa milatA hai. isake atirikta nAyAdhammakahA ke paMdrahaveM adhyayana meM 'bhicchaMDa' zabda 'bhikhArI' artha meM prayukta hai. isa meM 'bhikSA+uMDa' aise avayava haiM aura inase 'bhikSA-piNDa para nirvAha karane vAlA' aisA artha pratIta hotA hai. 'bhicchaMDa' ke sthAna para 'bhikkhaMDa' aura 'bhikkhoMDa' bhI milate haiM. saMskRta meM 'uNDuka' (zarIra kA eka avayava) aura 'uNDeraka' (piSTapiNDa) ke prayoga milate haiM. arvAcIna bhASAoM meM marAThI 'uMDA' (-loI) aura uMDI (-bhAta kA piNDa), gujarAtI 'UMDala'(-'gulma-roga') tathA siMhalI 'uNDiya' (-- geMda) meM evaM hindI 'masUr3A' (-saM0 mAMsoNDaka, prA0 maMsuMDaya) meM 'uMDa' zabda surakSita hai. Tarnara ke anusAra "uMDa' mUla meM drAvir3I zabda hai. tamila meM 'uNTa' malayAlam meM 'uNDA', aura kannar3a meM 'uNDe' ye zabda 'geMda' yA 'gola piNDa' ke artha meM pracalita haiM. ina saba se 'piTuMDI' kA (cAvala ke) 'ATe kI loI' yaha artha samarthita hotA hai. Jain Education Internal Soose Only Www.jainelibrary.org Page #2 -------------------------------------------------------------------------- ________________ 772 : muni zrIhajArImala smRti-grantha : caturtha adhyAya 2 uttuppiya praznavyAkaraNasUtra meM tIsare adharmadvAra meM caurikA ke phalavarNana meM vadhasthAna kI ora jAte samaya cauroM kI bhayabhIta dazA citrita karate kahA gayA hai: maraNa-bhauppaNNa-seda-aAyata-Nehuttappiya-kilinna-gattA / 'jina ke gAtra maraNa-bhaya se utpanna sveda ke sahajAta sneha se lipta aura bhIge hue haiM.' yahA~ para 'uttuppiya' zabda 'sneha-lipta' 'cikanA' isa artha meM AyA hai. vipAkazrata meM bhI isakA prayoga huA hai. jJAtadharmakathA meM, kalpasUtra meM, gAthAsaptazatI meM 'cupar3A huA' 'lipta' isa artha meM, oghaniyukti-bhASya meM 'snigdha' isa artha meM tathA 'setubandha' Adi meM 'ghI' isa artha meM 'tuppa' zabda prayukta hai. hemacandrAcArya ne dezInAmamAlA meM 'tuppa' ke 'mrakSita' 'snigdha' aura 'kutupa' artha die haiM. abhidhAnarAjendrakoSa meM 'tuppagga' (jisakA agrabhAga mrakSita hai) aura 'tuppoTTha' (jisakA oSTha mrakSita hai) die haiM. aprabhaMza sAhitya meM 'tuppa' ke kaI prayoga milate haiM. 'tuppa' se nAma dhAtu 'uttuppa' banA aura isake karmaNi bhUtakRdaMta 'uttuppiya' kA artha hai 'snigdha padArtha se lipta'. aise 'ud' lagAkara kriyApada banAne kI prakriyA prAkRta 'udhUliya' (-udhUlita, dhUlilipta) uddhRviya (uddhUpita) ityAdi meM hai. 'tuppa' se isI artha meM 'tuppaliya' (ghRtalipta, cikanA) banA hai, aura 'gAthAsaptazatI' meM isakA prayoga hai. 'tuppa' se siddha marAThI 'tUpa' zabda 'ghI' artha meM abhI pracalita hai. kannar3a meM bhI isI artha meM 'tuppa' zabda vyavahRta hotA hai. mUla mRkSaNa vAcaka 'tuppa' coppaDa' aura 'makkhaNa' (saM0 mrakSaNa) zabda bAda meM 'ghI' 'tela' 'makkhana' jaise snigdha padArthoM ke vAcaka bana gae haiM. 3 payaNa 'nAyAdhammakahA' ke 'zailaka' adhyayana meM azuci vastra kI zuddhi-kriyA ke varNana meM kahA gayA hai ki ... .......ke bAda vastra ko 'payaNaM aruheI'. vRttikAra ne artha kiyA hai 'pAkasthAne cUllyAdau vA''ropayati'. yaha to bhAvArtha huA. kyoMki vastra ko pAkasthAna meM athavA cUlhe para car3hAne se 'pacana' kA sAmAnya artha samajhA jAtA hai. car3hAne kI kriyA para bala dene se lagatA hai ki yahA~ 'payaNa' yA pacana zabda prakriyA ke artha meM nahIM, para sAvana ke artha meM lenA ucita hai. 'pacana' 'pakAne kA pAtra'. cUlhe para kar3AhI meM garama pAnI meM malina vastra ko ubAlane se usakI svacchatA siddha hotI hai. sUtrakRtAGganiyukti meM tathA jIvAjIvAbhigamasUtra meM 'payaNa' yA 'payaNaga' kA 'pacana-pAtra' ke artha meM prayoga hai hI. arvAcIna bhASAoM meM gujarAtI peNI' (kar3AhI), 'peNo' (kaDAhA) evaM nepAlI panI' (-madya nithArane kA baratana) mUlata: prAkRta ke 'payaNa' saM0 'pacana' se niSpanna hue haiM. arvAcIna prayoga ke AdhAra para kisI ne saMskRta meM bhI' 'pacanikA' zabda banA diyA hai. isa taraha Agama-graMthoM ke aneka zabdoM ke itihAsa kI zRMkhalA pravartamAna bhASAoM paryanta avicchinna rUpa meM calI AI jAna par3atI hai. Jain Education Intemational